7 MUST WATCH MOVIES

Iss post me 7 aisi movies ke baare me janenge jo aapko jarror motivate or inspire karengi..

MARTIAN

Ye movie novel "The Martian" par based hai jise "ANDY WEIR" ne likha hai. Iss movie me saal 2035 ki baat ki gyi hai jab ek crew MARS par mission ke liye jata hai.
Mars par dust storm aa jane se ek astronaut jiska naam "MARK WATNEY" hai injured ho jata aur gayab ho jata hai.Crew members ko lagta hai ki wo mar gaya aur EARTH ke liye wapas take off karte hai. Mark ko jab hosh aata hai to wo dekhta hai ki wo pure planet par akela hai. wo NASA se bhi contact nhi kar paa rha hai aur NASA ka agla mission agle 4 saal baad hai..

KUNG FU PANDA

Kung Fu Panda ek bahut hi famous animated movie hai. Is movie me ek bahut moota panda hai jiska naam PO hai aur wo Kung Fu sikhna chahta hai.
 Is movie me DRAGON SCROLL naam ki ek cheej hai jise mana jata hai jise ye mil gaya wo bahut shakti-shaali ban jayega.

FORREST GUMP


Iss movie ko bahut se award mile hai jaise BEST PICTURE, BEST ACTOR, BEST DIRECTOR, BEST VISUAL EFFECTS lakin kai logo ko iss movie me intrest tab aaya jab "ALIBABA" ke founder "JACK MAA" ne iss movie ko apni favourite movie bataya..
 Iss movie me ek chota sa ladka hai jiske naam "FORREST" hai aur uski tango me braces lage hai taki uski spine thik ho sake. Wo apne maa ke sath akele rehta hai. usko kaafi bachhe tang karte hai kyuki forrest physically disable hai. dosto se bhaagte-bhaagte ek din uske braces khul jate hai aur use pata chalata hai ki wo ek fast runner hai..

JOBS

Ye movie "STEVE JOBS" ki life par bani hai ki kaise ek adopted ladka "APPLE" jaisi badi company kholta hai.
Iss movie me ye bhi dikhaya gaya hai ki kaise Jobs ko unhi ki company se nikal diya jata hai lakin fir bhi unhone "NEXT" jaise badi company banayi aur dubara se "APPLE" me aakar uske "CEO" bane..

I AM KALAM

Ye movie ek gareeb ladke par based hai jo "SIR A.P.J ABDUL KALAM" se inspire hota hai aur khud ka naam bhi KALAM rakh deta hai.

THE FOUNDER

THE FOUNDER movie MC DONALD ke founder "RAY KROCK" ki life par based hai, 1954 me ye ek travelling sales man the aur milkshake mixer bechte the.
RAY KROCK 2 bhaiyon se milte hai RICHARD or MAURICE inka bahut famous restaurant tha jiska naam MC DONALD tha. 

THE THEORY OF EVERYTHING

Ye movie "STEPHEN HAWKING" ki life par based hai. STEPHEN maths aur physics me bahut achee hai lakin unke professor chinta me hai kyuki wo apni thesis ka topic decide nhi kar paa rhe.
STEPHEN black hole par lecture attend karte hai aur ise apne thesis ka topic bana lete hai. lakin unki muscle weak hone lagti hai aur ye sir ke bal gir jaate hai aur dheere-dheere pure paralysed ho jate hai..





 

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

साहिल सलीम : संघर्ष की एक बेमिसाल कहानी

VIRAT KOHLI : THE BUSINESSMAN

DHONI: A CRICKETER OR A LEGEND